اشاعتیں

مارچ, 2016 سے پوسٹس دکھائی جا رہی ہیں

-shairemashriqh IQBAL

KHUDI KO KARBULAND ITNA HAR TAQDEER SE PEHLE KHUDA BANDE SE KHUD POOCHE BATA TERI RAZA KYA HAI.

Hadith

Hadith ·        Hazrath Abu Huraira R.A. ka bayaan hai ke Khuda ke rasool S.A.W. ne Farmaya “beshak Allah tumhari suraton aur shaklaon ko nahi dekhta aur naa tumhare maal wo daulat ko dekhta hai. Balke wo tumhare  dilon yaane neeyaton ko aur tumhare aamaal ko dekhta hai”

apne fan me maharat paida kijiye

aaj  is bhagte daudte zamane ke saath kadam se kadam milakar chalna bada dushwar hogaya hai zamane ki taraqqi ke saath apne aap ko judaye rakhna is waqt sabse ahem hai iss tez raftar zamane  me  ladkiyon ko apne qadam jamana hai aur badi mazbooti ke saath taqe koi tez wo tund hawa unke qadam na ukhad de koi aandhi inke aashiyano ko kinka tinka na bikher de qyonke ye waqt hi aisa hai ala taleem ke sath saath hunarmandi wo saleekha mandi bhi sikhna zaroori ho gaya hai sirf ala taleem se ghar nahi bante isliye aurat ko bhi hunar sikhne ki taraf tawajya deni chahiye iss ke liye aurat ko technical kaam sikhne ki zaroorat nahi qyunke ke aurat ka bunyadi maqsad ghar aur uski dekhbaal hai isliye aurat ko apne dayerekaar me rehte huwe hunarmand hona hai apne andar jeene ka saleeqa paida karna hai                             aaj ki ladki zaheen bashaoor hai samajhdaar hai isliye aaj har ladki taleem ke sa...

A beautiful Naath lyrics

Tumhara naam musibat me jab liya hoga humara bigda huwa kaam ban gaya hoga khuda ka lutf huwa hoga   dastageer zaroor  jo girte girte tera naam le liya hoga kisi ke paaon ki bedi ye  kaat te honge koi aseer e gham unko pukarta hoga kisi taraf se sada aayegi huzoor aao yahi to dum me gareebon ka faisla hoga azeez bacche ko maa jis tarah talaash kare khuda gawah hai yahi haal aapka hoga kahenge aur nabi izhabu ila ghairihi mere huzoor ke labh par ana laha hoga mai unke dar ka bhikaree hoon fazl e maola se hasan faqeer ka jannat me bistara hoga