Good Bye to.......
#art #illustration #InstaTags4Likes #drawing #draw #picture #photography #artist #sketch #sketchbook #paper #pen #pencil #artsy #instaart #beautiful #instagood @appslejandro #gallery #masterpiece #creative #photooftheday #instaartist #graphic #graphics #artoftheday
Good bye to ....
Hum is bhari dopaher mein kaam se jald wapas aaye the socha tha gher mein thoda aaram karleinge magar jab paseene mein terbater ho kar fan chalana chaha to pata chala bijlee chali gayi ye italla begum sahiba ne kitchen se di
"Bijlee chali gayi oof ye kya museebat hai aise kaise chali gayi hum nidhal se farsh par seedhe leyt gaye
Usey pata nahin tha ki aap aane wale hain warna shayed nahin jaati
begum sahiba ki tanziya baat ka jawab hum bhi de sakte they mager itni himmat nahin thi na uth ker kuch bolne ki na baith ker kuch sunne ki
Hum chupchap leyt gaye rumal hila hila ker paseena khushk karne ki koshish mein lage rahe "khana tayyar hua ya nahin"aadhe ghante ki mehnat wo khamoshi se tung aaker hum ne hi khamoshi todi begum sahiba to phalli todne mein masroof theen."nahin abhi deair hai"bada rookha jawab aaya.
"Kya museebat hai"hum ne bilaakhir himmat jama karli
"Mujhe aaye huye ghante se upar ho gaya abhi tak khana bhi tayyar nahin kya aaj bhooka marne ka irada hai subha bhi baraber khaya nahin tha tabiyat bhi theek nahin idher garmi alag pareshan kar rahi hai aakhir abhi kitni dair hai"
dair main akeli saara din lagi rehti hoon begum sahib bhi shuru ho gayeen
"Aap ne konsa italla di thi jald aane ki main maamool ki terah kaam kar rahi thi aaj kapde dhona soch rahi thi magar bijlee chali gayi idher itne saare kaam pade hain tumko to aaram se layte kar garmi ho rahi hai main kitchen mein baith kar (din bhar)had hai mubalighe ki garmi mein pakati hoon wo aapko kuch nazar nahin aatapata nahin meri qismat itni buri kyun hai din bhar garmi mein tapna aur shoher ka jald ghar aaker hum hi ko kosna "
hum dil hi dil mein iss bhari dopaher mein begum sahiba ko chedne ki ghalti par pachtane lage khamoshi sab se behter hai hum aankhon par haath rakhe isi par amal karne ki koshish karne lage do ghante baad brgum sahiba ne lunch diya aur fan bhi chalne laga to zara jaan mein jaan aayee.
Hum jab baher kisi kaam se nikle to sidhyon par makan maalika se saamna hoa hum ne salaam jhada aur khair khariyat poochi aur ch aha ki khisak jaaen magar wo chipku qism ki theen salaam ke jawab mein shuru ho gayeen
"Ar re bete aaj bin time kaise tum to dair se aate thayshayed saat aath baje tumhari tabiyyat waghaira to theek hai waise aaj garmi bhi bahut thee Allah rehem kare bijlee walon par aisi qaher barsati dhoop hai aur bijlee chali gayee magar wo bechare bhi kya karen light ka bill aaya ye mahine ka kuch ziyaada hi aaya hai
"Ab dekho beta hamare yahan kiska kharcha hai main to din bhar baher rehti hoon aur raat ko saari lights off ker so jaati hoon fridge bhi band ker rakha hai fozool mein kyun jalaoon machine mein kapde nahin dhoti ki bijlee se chalta hai aur bill to mujhe hi dena hai ab dekho ye kapde sukhane ke liye hi ooper aayi thi ohhoho tumhein to dair ho rahi hogi jaati hoon khuda haafiz "wo be sar pair ki sunati chali gayeen aur hum sochne lage "meri dopaher barbaad karne mein aapka haat tha "hum samajh gaye ki light ke bill ka itna rona khawamakha ka nahin tha ishaara dena tha ki jab bill zyada aayega to isi tarah din mein bijlee chali jayegi hum pechotaab khate reh gaye
Aap ko to pata hoga ki kiraedar kihaalat kitni qabile rehem hoti hai us par hamesha ye talwaar latkai jaati hai ki iss maheene aap ne zyaada light istemaal ki ya paani zyada kharch kiya kirayedar ki jaan hamesha sooli par latakti rehti hai ki jane kab makan maalik ghar khali karne ke liye keh dein.
Hamara haal aisa tha kab drekula numa aunty se chutkara mile aur kab hum sukoon ki saans le sakein kyunki kiraye ka ghar aur aisi jallad aunty ho to phir usse jaan chudane ke liye sochna hi padta hai jabke wo musalsil harasaan karne ke mood mein thi kabhi be waqt bijlee chali jaati kabhi be waqt aunty aajati kabhi paani hi band ho jata kabhi aunty ki shikayaton ka daftar khul jaata iss tarah aunty ne jaan par bana di thi
hum ne biwi se mashwera talb kya ki aisi surate haal mein humein kiya karna chahiye halanki sahi mashwere ki ummeed begum sahiba se kam hi thi
"Aap hi ko shouq tha kirayedar banne ka achcha khasa zaati ghar tha wo apne mamu miyan ko dekar yahan aagaye ab jayenge to zaati ghar mein hi jayenge kiraye ke gharon mein apni aazadi kahan apni marzi se light jalana paani bahana ab aapko samajh mein aagaya hoga "unka andaz abhi bhi tanziya tha hum ne thundi saans bhari mashwera phir bhi dil ko laga tha magar mamu miyan wo tedhi kheer thae humare ghar par se unka qabza hatana bada mushkil tha
"Mamu miyan ko yahan bhej denge ek seir to dusra sawa seir kahenge ki ye ghar ussse bhi achcha hai aur kam kiraye par hai waghaira "begum sahibs ka bhi dimaagh khoob chal raha tha
"Haan aur unhen kiya kahenge jab wo poochenge itna achcha khubsurat kam kiraye wala ghar hum khud karke un par itni inayet kyun kar rahe hain "hum ne unki kam aqli ka maatam kiya
"Ab ye sab sanbhalna jawab dena aap ka kaam hai hum ne to mashwera dena tha so de diya
Begum ek shane beniyazi se kehti chali gayeen aur hum sar pakde aunty se chutkara paane ki tarkeebein sochne lage
Mamu miyan ka masla bhi humari humdard fitrat hi ki dain tha humari rage humdardi uss waqt phadak gayi jab mamu miyan apni family ke saath gham e rozgar ke silsile mein tashreef laye unhen bas sar chupaane ko thikane ki zaroorar thi humare saamne aise aise jazbaati mukalme ada kiye jisko sunker shahensha e jazbaat josh mein aajate hum to khair hum hi they humari darya dili josh mein aagayeeaur hum ne door daraz ilaaqe ka makan jo ki paanch saal se khali tha unhen de diya darasal iss door daraz ilaqe ki wajah se na koi khareedne par aamaada tha aur na kiraye par lene ke liye aur hum khud bhi uss ilaaqe mein reh nahin sakte the wahi faasle ka masla tha isliye khushi khushi dediya humaara kya jaayega humara naam hi hoga sawab alag
Ab humein kya maloom tha ki in paanch saalon mein wo ilaaqa jo gumnam weeran nazar aata tha iss qader gunjaan aabad ho jayega khair hamari niyyat to saaf thi magar idhar humari makan malika ki aur udher mamu miyan ki niyyat kharab thi darmiyan mein humara haal bura tha idher kiraya bhi de rahe the aur aunty ki baatein bhi sun rahe the aur begum sahiba ki bhi ke zaati ghar rehte huae kiraye ka ghar lena niri bewaqoofi hai aur ye bewaqoofi humaare miyan paanch saal se karrahe hain waghaira waghaira .
Ab pata nahin ye humari duaon ka natija tha ya hamari qismat ko humari bewaqoofi jaisi narm tabiyat par taras aagaya tha ke mamun miyan ka tabadila dusri jagah hogaya aur wo humare makan ka qabza humein dene tayyar hogaye unka family ke saath jana zaroori tha aur noukri ka mamla tha issliye wo chat mangni pat biyah ke musdaaq saman shift kar diye saman shift karte waqt unki safed poshi ka bharam khul gaya najane kiya kiya saman the jise ab tak hum se chupaye huye thay cooler hum to chilchilati dopaheron mein cooler ke liye taras jate thay magar iss dar se ke kahin maalik makan us ke bhi izaafi kiraya na maange lene se darte rahe aur hamare mamun miyan zaati ghar ka lutf lete rahe
Heater fridge aur najane kya kya hum ne khoon ka ghoont peena chaha magar pee na sake iss liye mamun miyan se keh hi diya
Mamu miyan in tamam electronic ashiya ko wahan malik makan se chupakar hi rakhiye warna aapki safed poshi ka bharam toot jayega
Mamun miyan humare lateef tanz ko samjhe ya samajh kar nazar andaz kar diye hum jaan na sake hum ne unhein good bye kaha to mamun miyan muskra diye are humko good bye kyun kehte ho good bye to us aunty ko kaho kyunki tumhein uska ghar khali karna hai
"Haan aur hamari to baddua hai ke uska ghar hamesha khali rahe koi kirayedar na aaye "hum ne jal kar kaha mamun miyan hans diye aur hum sochne lage ab pata nahin aunty ke chere par kitne rang aate hain jab hum ye good news sunayenge ke hum uska ghar khali kar rahen hain aur use khuda haafiz keh rahe hain
Good bye ...good bye to .....

تبصرے
ایک تبصرہ شائع کریں